March 13, 2011

Kaash...

Kaash aisa hota, ki jab chahoon tumhe choo sakti...
Kaash aisa hota ki tumhara dil main, tumhari rooh main hoti...
Kaash hum ud sakte, kheton, khule maidano par se
Kaash hum sangg chal sakte kachchi pakki sadkon par
Kaash humara apna hi ek jahan hota
Alag wahan ki zameen, alag aasmaan hota
Kaash bus pyaar hi pyaar, na kuch aur hota
Bus tum, main aur humara ek chota sa sansaar hota
Kaash kabhi aisa hota... Kaash...

No comments:

Post a Comment