Phir aaj tum ho mujhe yaad aaye
Palkon pe mere nayi nami muskuraye
Lafz kuch ankahe hai, phir bhi lab theher jaye
Koi awaaz door kisi bandh kamre se aaye
Na sun sake tum, na sun saki main
Yahan dard-e-bebasi ab dil mein aur bhi samaye
Palkon pe mere phir nayi nami muskuraye
Aur phir aaj tum ho mujhe yaad aaye
Mere palkon pe phir aaj kuch aur nami chaye
Yeh bhigoye mere dil ki gehrayi
Kyunki phir aaj tum ho mujhe yaad aaye...
No comments:
Post a Comment